Tuesday, 10 April 2012

A TRIBUTE TO ST. ANSELM'S - CONTRIBUTED BY DIVYENDRA PRATAP SINGH


I've made this poem for our great school.
St. Anselm's is the best school of the world.
Its like our second home, we spent 14 years of our life in this school.
Now we have left this home forever.... we will miss each n everything of this
school..



Vo assembly me ek saath prayer karna,
Vo PTI sir ki maar se darna
Vo first period me moral science padhna,
Vo interval me dosto se khane ke liye ladna,
Vo roz roz canteen me dera jamaana,
Vo dosto ka tiffin khane ke baad
5 rupey ka burger khaana,
Vo main ground me plastic ki ball se football khelna,
Vo poore din teachers ke boring lecture jhelna..
Vo har period k baad toilet k liye jaana,
fir class me late aane par teacher ki daant khaana,
Vo PT se bachne ke liye pet dard ka bahana banana,
Vo compass se har bench pe apna naam likhna,Vo interval ke baad class me ek
doosre pe chalk fainkna
Vo annual function wale dino me chote bachho ki class ko mind krna
Vo interval khtm hone ke baad tap pe paani peene ke liye ladna
vo raste pe jo b pada mile use utha k faikna
Aur bin baat ke apne dosto pe cheeze faikna
vo chutti hone par tie kholkar collar upar chadana...aur school ke bahar sb par
dadagiri dikhana..
Vo ek choti si ladayi ko badha chadha ke batana....aur juniors ki ball faink k
unko khoob satana...
Vo toilet aane pr apne dost ko bhi saath le jana..
aur paani peene ke baad dosto pe thoda paani faikna..
har baat pe shararat krna
bin baat k shararat krna
Vo shararat ke pal,Vo zindagi ke pal hmesha yaad aayenge
Is Anselm's mein bitaye hue pal hum kabhi na bhool payenge..